Wednesday, November 19, 2008

jo dil pe lga hai daag wo dhulta kyu nahi,
or to bharte h ,par ye dil ka jakhm bharta kyu nahi.

aatho pahar aana rhta tha hamari gali me jiska,
ek pal k liye bhi ab wo nazar aata kyu nahi.

tere pyar me teri chah me humko h sab kabool,
kuch to kare kabool magar kuch yaad aata kyu nahi.

dhadktata h dil mera,khabar hoti thi aapko,
ab tera dil bhi mere liye tadpta kyu nahi.
Tu Sanam Aur Teri Chahat Dono Se Parda Karti Hu Mai,
Ab Fir Es Sawan Me Bhigne Se Darti Hu Mein ,
Tere Sitam Sehti Gyi hoon To Kya Hua,
Kabhi Aakar Haal To Pucho Yaha Roz-Roz Marti Hu Mein..

Friday, November 14, 2008

umeede mit ti chali gyi raste jalte gye
zindgi ka safar chal na paaye hum
har din har rat marte chale gye hum

ufanti nadiya sagar si chalne lagi
sukhi hui nehre sahra si lagne lagi
bigde aasa kaam bhi hum wajah hogi
khud ko thagte chale gye

teri yaad k sang kal kaqamat na aayi,
wo dil ban gya par muhabbat na aayi.

jo khune sarobaar tha,dahshat se bhara,
wo phul ban gya par mahak wo na aayi.

GUMNAAM BAHARO KI GUMNAAM NAZARE H,
BARBAS HI MILE H JO GUMNAAM SAHARE H.

CHUPTE HUE DEKHA H HUMNE KUCH APNO KO,
MAHAR-BAAN ANDHERO ME MAHAR-BAAN DARAARE H.

EK AAH SI UTHTI HAI EK DARD SA JATA H,
BEIMAAN KIRDAARO K BEIMAAN NAZARE H.

ROTE HUE KYA PAYA H,KASHTI K ERADON KO
BADNAAM SAMANDAR K BADNAAM KINAARE H.

Monday, November 10, 2008

ZAKHM JAB ASHKO KO PEE LETA HAI,
ZINGDI KO TAMAAM JEE LETA HAI

WAQT HO JATA H BADNAAM KHUD HI,
BIJLIYA KAB KALIYO PE GIRA DETA HAI

TANHA TANHAIYO ME EK AAS FUTI JATI HAI,
JAB DARKHTO PE NAAM MERA KOI LIKHTA HAI

UNSE NA KIJIYEGA TUM EERSHYA,
KBHI SAAKHI ZAHAR BHI PEE JATA HAI

SUBAH HONE KO PAL ME GINTI HUN,
NEEND ME KOI AWAJ DE KE JATA HAI            
                                                                
DIL SE MILTI NAHI KISI SE MEIN,
EK LUTE GHAR ME ESE KYU KOI AA JATA HAI

NILAAM KOI KYA HOGA KISI K LIYE,
YE RAAHI TO HAR MANZIL PE BIKA JATA HAI
YAADEIN KABHI PURAANI NAHI HOTI,
SABKO PANA SABKI KISMAT NAHI HOTI,
HUM DIL TO RAKH AAYE THE UNKE KADMO ME,
YE JAANTE HUE BHI KI UNKI NAZRE,
KABHI ZAMEEN PAR NAHI HOTI.

Sunday, November 9, 2008

lamha - lamha zindgi k aashiyane bit gaye,
diwangi me bekhudi k wo zamaane bit gye

le ja rahe ho kya yha se,kya mila hoga tumhe
didaware husn k,maykashi k,wo thikane beet gaye

zarra zarra joshe junun kho gya gum ho gya
e dil teri zindadali k wo fasane beet gaye

benaam tishnagi sataye dil jalaaye sahra sahra
e samandar aaj tere wo nazare beet gaye.



DEKHNA CHAHE KOI UNKO TO HAR JAGAH DEKHE,
HAR NAZAARE KI NAZAR HO YE ZARURI TO NAHI.
UNKI AAKHO KE NISHAANE SE HI MAR JAYE LEKIN,
US NISHANE PE YE DIL HO JARURI TO NAHI.

Tuesday, November 4, 2008

YAADIEN

Kuch Beete Hue Lamho Se Mulaqaat Hui,
Kuch Tute Hue Sapno Se Baat Hui,
Yaad Jo Karne Baithe Un Tamaam Yaadon ko,
To Aapki Hi Yaadon Se Shuruaat hui.

Monday, November 3, 2008

"life"

At Every Stage of Life

   You Play A Different Role

 

Sometimes You Are A Pawn,

    Sometimes The Rook,

    Sometimes The Knight,

    Or Bishop Or King.

 

You Have Power Over One

But Another Can overpower you

 

   Circumstances determine,

   Your Position And Moves,

   You May Lose,Or You May Win,

 

But The Winner Does Not

Inherit The Chessboard

And The Board Must Be Cleared

For The Next Game

  

    True It’s Not Whether You Win Or Lose

    It’s How You Play The Game.

 

Saturday, November 1, 2008

Phoolo Ki Tareef

Phoolo Ki Tareef To Sab Karte Hai,
Bdi Mushkil Se Log Kaanto Pe Gor Karte Hai,
Maali To Sirf Naam k Hote Hai,
Phoolo Ki Hifazat To Kaate Hi Karte Hai.....

Untitled

Kitni Buri Lagti Hai Zindgi,
Jab Hum Tanha Mehsus Karte Hai,
Khushiyon Ka Aasma Kahi Nahi Dikhta,
Par Gam k Baadal Har Roz Baraste hai,
Rahte Hai Har Waqt Wo Aankho Me Mere,
Par Fir Bhi Hum Ek Mulaqaat Ko Taraste Hai,
Koi Gila Nahi Duniya k Sitam Ka Hame,
Sirf Unki Narajgi Se Hamesha Darte Hai,
Har Khushi ka Rukh Modte Hai Unki Taraf,
Aur Unka Har Gam Apna Samjhte Hai,
Par Milne k Baad Milte Hai Sirf Chaar Kandhe,
Or Jeete Jee Hum Har Ek k Kandhe ko Taraste Hai...


Wo Bachpan..

Kagaj ki Kashti thi,Pani ka Kinara tha
Khelne ki Masti thi ,Dil ye Aawara tha
Kaha aa Gye is Samajhdari k Daldal me
Wo Nadan Bachpan hi Kitna Pyara tha