jo dil pe lga hai daag wo dhulta kyu nahi,
or to bharte h ,par ye dil ka jakhm bharta kyu nahi.
aatho pahar aana rhta tha hamari gali me jiska,
ek pal k liye bhi ab wo nazar aata kyu nahi.
tere pyar me teri chah me humko h sab kabool,
kuch to kare kabool magar kuch yaad aata kyu nahi.
dhadktata h dil mera,khabar hoti thi aapko,
ab tera dil bhi mere liye tadpta kyu nahi.
Wednesday, November 19, 2008
Friday, November 14, 2008
GUMNAAM BAHARO KI GUMNAAM NAZARE H,
BARBAS HI MILE H JO GUMNAAM SAHARE H.
CHUPTE HUE DEKHA H HUMNE KUCH APNO KO,
MAHAR-BAAN ANDHERO ME MAHAR-BAAN DARAARE H.
EK AAH SI UTHTI HAI EK DARD SA JATA H,
BEIMAAN KIRDAARO K BEIMAAN NAZARE H.
ROTE HUE KYA PAYA H,KASHTI K ERADON KO
BADNAAM SAMANDAR K BADNAAM KINAARE H.
Monday, November 10, 2008
ZAKHM JAB ASHKO KO PEE LETA HAI,
ZINGDI KO TAMAAM JEE LETA HAI
WAQT HO JATA H BADNAAM KHUD HI,
BIJLIYA KAB KALIYO PE GIRA DETA HAI
TANHA TANHAIYO ME EK AAS FUTI JATI HAI,
JAB DARKHTO PE NAAM MERA KOI LIKHTA HAI
UNSE NA KIJIYEGA TUM EERSHYA,
KBHI SAAKHI ZAHAR BHI PEE JATA HAI
SUBAH HONE KO PAL ME GINTI HUN,
NEEND ME KOI AWAJ DE KE JATA HAI
DIL SE MILTI NAHI KISI SE MEIN,
EK LUTE GHAR ME ESE KYU KOI AA JATA HAI
NILAAM KOI KYA HOGA KISI K LIYE,
YE RAAHI TO HAR MANZIL PE BIKA JATA HAI
Sunday, November 9, 2008
lamha - lamha zindgi k aashiyane bit gaye,
diwangi me bekhudi k wo zamaane bit gye
le ja rahe ho kya yha se,kya mila hoga tumhe
didaware husn k,maykashi k,wo thikane beet gaye
zarra zarra joshe junun kho gya gum ho gya
e dil teri zindadali k wo fasane beet gaye
benaam tishnagi sataye dil jalaaye sahra sahra
e samandar aaj tere wo nazare beet gaye.
Tuesday, November 4, 2008
YAADIEN
Kuch Beete Hue Lamho Se Mulaqaat Hui,
Kuch Tute Hue Sapno Se Baat Hui,
Yaad Jo Karne Baithe Un Tamaam Yaadon ko,
To Aapki Hi Yaadon Se Shuruaat hui.
Monday, November 3, 2008
"life"
At Every Stage of Life
You Play A Different Role
Sometimes You Are A Pawn,
Sometimes The Rook,
Sometimes The Knight,
Or Bishop Or King.
You Have Power Over One
But Another Can overpower you
Circumstances determine,
Your Position And Moves,
You May Lose,Or You May Win,
But The Winner Does Not
Inherit The Chessboard
And The Board Must Be Cleared
For The Next Game
True It’s Not Whether You Win Or Lose
It’s How You Play The Game.
Saturday, November 1, 2008
Phoolo Ki Tareef
Phoolo Ki Tareef To Sab Karte Hai,
Bdi Mushkil Se Log Kaanto Pe Gor Karte Hai,
Maali To Sirf Naam k Hote Hai,
Phoolo Ki Hifazat To Kaate Hi Karte Hai.....
Untitled
Kitni Buri Lagti Hai Zindgi,
Jab Hum Tanha Mehsus Karte Hai,
Khushiyon Ka Aasma Kahi Nahi Dikhta,
Par Gam k Baadal Har Roz Baraste hai,
Rahte Hai Har Waqt Wo Aankho Me Mere,
Par Fir Bhi Hum Ek Mulaqaat Ko Taraste Hai,
Koi Gila Nahi Duniya k Sitam Ka Hame,
Sirf Unki Narajgi Se Hamesha Darte Hai,
Har Khushi ka Rukh Modte Hai Unki Taraf,
Aur Unka Har Gam Apna Samjhte Hai,
Par Milne k Baad Milte Hai Sirf Chaar Kandhe,
Or Jeete Jee Hum Har Ek k Kandhe ko Taraste Hai...
Wo Bachpan..
Kagaj ki Kashti thi,Pani ka Kinara tha
Khelne ki Masti thi ,Dil ye Aawara tha
Kaha aa Gye is Samajhdari k Daldal me
Wo Nadan Bachpan hi Kitna Pyara tha
Subscribe to:
Posts (Atom)