Monday, September 22, 2014

Akelapan saatane laga hai

Zindagi to khoob jee hai maine,
Gujre waqt me kisi ke pyar ki kami,
Kabhi mehsoos nahi ki maine,
Par ab yeh akelapan sataane laga hai.
Kahin akele hi na gujar jaaye zindagi,
Iss baat se darne laga hai
Kuch armaan maine bhi sajaye huye hai,
Dil ke kayi raaz hum bhi chhupaye huye hai,
Mile to kayi lekin kabhi bayaan na kar paaye,
Aaj uss nakaami ka afsos sataane laga hai,
Zindagi to bahut jee hai maine,
Par ab yeh akelapan sataane laga hai..


Ek baar mila bhi mauka kisi ki chahat banne ka,
Lekin hum use bhi kuch iss tarah gawa baithe,
Uske khud hi izhaar karne ke intezaar me,
Haal-e-dil bayan karne ke mauke ho ki nakaar baithe
Halki si muskaan liye dil k dard ko aur bekarar kar baithe
Yun to guft-gu bahut huyi unse meri,
Par silsila kabhi yeh pyar tak na pahucha
Kaisi ek tarfa mohabbat thi yeh meri,
Kaisa tha yeh ishq jo kabhi ikraar tak na pahucha
Uss samay pyar se mahroom the,
Aaj use khone ka dard dil ko rulaane laga hai,
Zindagi to khoob jee hai maine,
Par ab yeh akelapan sataane laga hai...!!!

No comments: